maa-mamta ki murat
Kash K Zindagi ma wo muqam aa jaye
Mjhe Rab ki Taraf se Ye pegham aajaye
Bata Bande tujhe kia aisa atta karon ma
Jis se tere Dard ko Araam aa jaye
Main Sochta hoon k kia mangon ga
Khushi or Sukh ka Dariya mangon ga
Wo khushi Jis se gher main ujala ho jaye
Wo khushi jo meri zaat ka hawala ho jaye
Wo Hath lota de jis main mera bachpan guzra
Jis ka pyar ma jism ma laho ban kar utra
Thak kar hamesha jis ki good main soya
Har kar Duniya se jis k aanchal main roya
Mumta k us samandar ko Ankheen hai Dhondti
Maqrooz jis k Doodh k her Bond Mre Khoon ki
Who Maa hai jis ne her Ranj or Alam se Bachaya
Teez Dhoop ma jis ka wajood aik naram saya
Wo jis ne Hanste Hanste her Ghum Uthaya
Kitna Mehrban hai Who Rab jis ne Maa ko Banaya
Wo Maa jis k qadaoom ma hai Jannat
Her Kamiyabi hai jis ki marhoon e Minat
Wo Maa hai jis se hai Duniya ka Meela
Wo Maa Chor Gayi Hum ko Akela
Mjh per apni Rehmatoon or Naimatoon ki Hadh na karna
AsHuTM
Powered by Max Banner Ads
Related posts:
- jo appka sapna [Translate] jo aapka ho sapna vo hakikat ban jaye...
Related posts brought to you by Yet Another Related Posts Plugin.
