Hamdardi ka naam na de
Hamdardi ka naam na de
yeh to hai mohabbat meri
ahasaan ka mujhe karar na de
chaha hai tujhe dil se
samajhti hun mein jazbaat tere
meri baat bhi tu samajh jara
naam uska tu baar baar na le
kahi yeh dil usse bewafi na de de
wada kiya hai to nibhana padega
chahe meri jaan chali jaye
wada kiya hai to mujhe jana hi padega
is mohabbat ko to azmana padega
vishwash hai mujhe un ankho pe
chahe yeh mera dhundh vishwash ho
dekha hai usne mohabbat se mujhe
dekhi hai nami maine un ankhon mein
usse bhulana ab aasan na hoga
yeh bandhan ho gaya hai purana
mujhe un bahon mein jana hoga
us dil mein ghar aapna banana hoga
shayad yeh zindgi ki bhool ho
mujhe yeh zokhim uthana hoga
laye hum aapne ghar katil ko
dena hai manzil-e-anjam ishq ko
tu aaj mujhse ek wada kar de
chodna na mujhe tu kabhi
tu mera haath aaj tham le
sambhal lena gar zindgi mujhe dhokha de
Powered by Max Banner Ads
Related posts:
- rab aisa na banaa dena [Translate] Ek Jaam Mohbbat kaa Aankho se pilaa dena...
- Zindagi hai choti [Translate] Zindagi hai choti, har pal mein khush raho…...
- special tribute to maa mother [Translate] Umer Bhar Seene Se Laga Kar Pala Hai...
- dil ki mere kya kahe dhadkane [Translate] Sun le jara sun le jara, dil ki...
Related posts brought to you by Yet Another Related Posts Plugin.
